Woh kehta hai maloom nahi tumhe kya chahti ho tum,
Gar jaana hi hota toh mein iss jahaan ki na na-hoti?
Kehta ye bhi hai woh ke maloom nahi usse chahiye aakhir kya,
Gar jaana hi hota tuney bhi, farishta na na-hota tu?
Ishq hota kya hai, ye bayaan kabhi suna nahi,
Par kyun na main apne lafzoon mein dhaalun usse?
Darbadar naa ghumi main, na hi hui main rusva kabhi,
Kya tab manogey tum, jab ashq aakhon se bahaungi main?
Tere lafz nahi suney hai maine, suni hai sirf aawaz teri,
Tu kehta kuch aur hai, main sunti kuch aur hun,
Le jaa tu rooh meri, jaatey jaatey,
Main yahi hu teri tasveer dekhte.
Wow. I don't think I've ever read anything so beautiful. Admittedly, I understand just 60% of it, but it just sounds so lyrical!
ReplyDelete