My first attempt at writing an Urdu poem. Inspired by "Sheeshon ka maseeha" by Faiz Ahmed Faiz, below is sort of a reply to the inspiration.
Daaman hai khoon se ranga hua,
karte hue ekat'ha dil ke tukdon ko
Sheeshey sa woh chaknachoor jo hua,
ek jaam ke pyaale sa.
Kya jaano tum inn tootey tukdon se
kitne rangon se khil jaata hai samaa.
ek chehra tumhara dekhu jo unmein,
hazaaron aks nazar aate hai.
Maseeha koi nahi milega iss raah per,
zindagi khud hi chalti hai.
bikharti hai, sawarti hai,
Girkar phir sambhalti hai.
Humein hai sab ye gawaara,
ke mohsin har kisike naseeb nahi hota.
Intezaar karna tumhaara, meri khwaash hai
kaayam hai meri ye saanse tab tak.
Justajoo koi rahi nahi,
dil ko sameit, samjha hai diya.
Raah per nazrey tikaaye hum bathey rahenge chauraahe per
bin palkey jhapkaaye hue.
Kisi din toh Khuda karam karega,
ya tum lautogey, ya maut ye jaan le jaayegi.
The wait- 2!! / - 3 in making? ;P
ReplyDelete